Thursday, November 11, 2004

Shayri...... in progress

hello there,

am just using this as scribble space for now ... will add or modify as and when things progress, with my poetry i.e.!

Kaun hai woh jo mere khayalo me hamesha rehta hai
Kaun hai woh jo mere zehen me gharonda kiye baitha hai
Kaun hai woh jise mai bhula nahi paati
Kaun hai woh jise shaayad meri yaad bhi nahi aati

Guzre kayi din tere intezaar me
Likhe kayi nazm dil-e-bekaraar ne
Arzoo teri dil se mita nahi paye
Lekin ab tak tum kahi nazar bhi na aaye

Ek umr guzar gayi dil se baate kiye
Ek umr guzar gayi tumse baate kiye
Jab milenge tumse to kahenge kya
Agar tum na pehchano to karenge kya

*Bahut lambaa safar tay kar aaye hai
Magar iraada pakka kar aaye hai
Jo tumse na kahenge haal-e-dil
Na milegi mohabbat ko manzil

Attempt at translation:

Who is he who is always in my thots
Who is he who has found a place in my heart
Who is he whom I cannot forget
Who is he… maybe he doesn’t even think of me?

Hav spent many days waiting for you
hav penned many poems with a (heavy?) heart
can't stop thinking of you
but where the hell are u? :-P

It’s been an eon since I spoke to my heart
It’s been an eon since I spoke to you
What will i say when i see you?
Will u recognize me for who i am?

*I have traveled far to get here
But I have made up my mind
If I will not express my feelings
My love will not find its destiny

*not too thrilled with this one! :-P




Adding some previous stuff here:

The perputual pathos of siggy's poems inspired me to write this sher
please add to it if it inspires u 2!!!!!!! i mean my sher not siggy's poems
:)


haal-e-dil ka izhaar kar bhi na sake
tum se bichadke mar bhi na sake

jaam-e-zindagi pee bhi na sake
dard-e-dil magar chupa bhi na sake

tum hamare na ho sake
aur hum kisi ke na ho sake

the creative comments on this on from sulekha are worth backing up as well i think, so here they are:

zindagi ki kitaab mein tum ek harf ho ik kone mein
Mein ik harf hoon ik kone mein
Chaaha behad magar hum milke ek lafz na ban sake
from mez_charu

Kshitij bas nazron ke saamne dikhayi di
Paas gayi to door nikalti gayi
Bas jahan khadi rahoon
Vahi se apalak niharthi rahoon
Par na koi gila, na koi shikva
Jo bhi mila bahut hai
Mutthi bhar yaadon ko
Hatheli mein sametkar
Bitaaoongi umr baaki-
from dear ardra_vamsi

1 comment:

Vedu Joshi said...

He he! khuda karen ke aapko woh jaldi mil jaaye!